Jiski umeed thi yeh nahin woh Hindustan hain
Haqeeqat aur khwaab mein aaj bhi faasla darmiyan hain
Hum kehte hain jise ke yeh hamara gulistan hain
Aaj kaisa hain manzar iska, kyun yeh itna veeran hain
Gandhi, Bhagat, Tagore, Tilak bas naam reh gaye panno par
Shahidon ki mazaar ko humne banaya qabristan hain
Jo bhi mila humein Sikh, Issai, Hindu ya Musalmaan hain
Woh pata bata ae dost jahan milta Insaan hain
Har kisi ne loota hain jise sone ki chidiya kehte the
Aisa koi na aaya jiska musallam imaan hain
“Saare jahan se achcha” bas misra reh gaya Iqbal
Sirf naara bankar reh gaya “Mera Bharat Mahaan” hain
Siyaasat mein baithe behre kuch sunne ke qaabil nahin
Janta gungi ho jaaye, aisa unka farman hain
Ise azaadi mile, ek arsaa bita gaya
Desh aaj bhi humein lagta ek zindaan hain ?