Dekha tujhe tab dilkashi samaj mein aayi
Bekhud hua tab zindagi samaj mein aayi
Uns ka bayaan woh karta bhi kaise
Mujrim tha woh kaise deta gawahi
“Ishq” muzaqqar hain par “Ashiqui” muannas
Qawaid-e-mohabbat kabhi samaj mein na aayi
Aqeedat mein tere sar jhukana hi pada
Khuda tujh ko maana, humne chod di khudai
Rusul-e-but-e-nazakat teri chahat ne bana diya
Ibadat se ziyada humein ashiqui hain kaam aayi
Junun is qadar khud ko tujh mein dubo du
Zaahir ho jaane de kitni hai teri gehrai
Sirf maut hain haasil-e-ishq jaana, phir bhi yahi tajweez
Hayaat yun daaman chode jaise ho teri angdayee