Patjhad ka mausam hain
Ab bichadne ka mausam hain
Pattein bhi rang badal chuke
Ab humein bhi badalne ka mausam hain
Kuch chhod gaye apni marzi se
Kuch saba uda ke le gayi
Jo reh gaye hain shaakhon par
Un mein bechaini ka mausam hain
Maasumiyat ki woh nanhi kali
Jaane kho gayi kis gali
Dhunda bahut par mili nahin
Ab jawaani ka mausam hain
Woh khil-khilate rang-o-bu
Jinki humein bhi thi kabhi justuju
Ab na rahi woh aarzoo
Unhein yaad karne ka mausam hain