Ae rehbar-e-deen-o-qaum bata
Aakhir teri marzi hain kyan
Kyun logon ko behkata hain
Aakhir tu humse chahta hain kyan
Ae rehbar-e-deen-o-qaum bata
Kaise neend tujhe ab aayegi
Yeh jo aag lagayi hain tune
Aag yeh kaise bujh paaegi
Zaat-o-mazhab ke afreet jab shabab-o-mulk kha jayege
Kuch ronewale basti mein sirf bacche-budhe reh jayege
Mandir bhi hoga, masjid bhi hoga
Par aawaaz na koi aayegi
Kise sunaega waiz tu
Jab basti saari kho jaaegi
Ae rehbar-e-deen-o-qaum bata
Kya neend tujhe tab aayegi
Ae rehbar-e-deen-o-qaum bata
Kyun zameen hai meri afsurdah
Kyun mayus itne hai mere shajar
Kyun sharminda hain aasman yeh mera
Manzar yeh saare dekh ke jab
Masumiyat aansu bahaaegi
Ae rehbar-e-deen-o-qaum bata
Kya neend tujhe tab aayegi
Ae rehbar-e-deen-o-qaum zara
Mujhse bhi to nazre mila
Main bhi khuda ka banda hun
“Insaan” hain naam mera
Woh jaahil hain jo dhundte hain
Use Gita aur Quraanon mein
Jis naam se chaahe pukaarle hum
Woh rehta hain insaanon mein
Chhod ke mandir-masjid jab
Insaniyat puji jaayegi
Ae rehbar-e-deen-o-qaum yeh sun
ke neend humein tab aayegi
Ae rehbar-e-deen-o-qaum yeh sun
ke neend mujhe tab aayegi