Zakhm

bff7522eb4427d7bde05d6afba25bf13
Zakhm-e-musalsal se haal-e-jism khastaah hain
Itne ghaav hain hum par, khoon hamaara ristaa hain
Bazaar-e-duniya ke mizaan mein roz jism tulte hain
Dil yahaan pe bikte hain, Imaan yahaan sastaa hain
Koi nahin is shehr mein jo unka pataa bataa sake
Jis kisi se pucha humne, hum se zyaada gum-gashta hain
Koi mehram aisa mila nahin jo dard ki dava bata sake
Koi nahin is shehar mein jo apne dil se vabastaa hain
Jis kisi se pucha humne, “Kitni dur hain manzil ?”
Gaur se humein dekhta hain, abas hum pe hasta hain
Kaisa tabassum hain hothon par, kya noor hain unki aankhon mein
Kismat mein apni woh shae nahin, koi aur hain jo dil mein basta hain
Sunaa hain dast-e-tahammul mein badi shafa hain Shaoor, thoda sabr karle
Sabse juda hain manzil teri, sabse alag tera raasta hain